Email Id Kaise Banate Hain

Bahut sare new internet user ko apni email id banane me problem hoti hai. Isliye is post me ham aapko iske bare me step by step with picture batayenge jisse aapko samjhne me koi confusion na ho. bahut se log internet par kuchh is tarah search karte hai Email Id Kaise Banate Hain, Google account kaise banaye Ya Google account kaise khole. Aaj ke time me sabhi jagah Email ID ki jarurat padti hai chahe aapko koi online form bharna ho ya fir other koi online work ho. Isliye Yadi aapko apni email id banana hai to is post ko last tak read kijiye.

Email Id

Email Id Kaise Banate Hain 

Dosto Gmail ek Google ki hi service hai jo sabhi internet user ke liye free provide ki jati hai. Yadi mostly dekha jaye to aaj ke samay me yadi aapki koi apni Gmail id nahi hai to aapke bahut se aise kaam hai jo iske bina pure nahi ho sakte, Matlab sabhi ke paas Gmail par bani huya kam se kam ek email address ka hona bahut jaruri hota hai.

INTERNET KYA HAI ? AUR TYPES OF INTERNET IN HINDI

CALL DETAILS - KISI BHI NUMBER KI CALL DETAILS KAISE NIKALE

Yadi aap student hai aur aap Job ke liye kahi apply karte hai to usme bhi aapko apna email address dena hota hai. Yadi aap office me work karte hai tab bhi aapki apni Gmail ID hona bahut important hota hai.

Maan lijiye aapko koi file kisi friend ko bhejni hai jo aapse bahut door rahta hai aur aap chahte hai ki vo file koi other person na dekh paye to aap apni email id se us dost ki email id par asani se email ke dwara us file ke sath sath kuchh bhi likhkar bhej sakte hai jise pahunchne me only 1 second bhi nahi lagega.

Ab me aapko email id banane ka tarika batane wala hu jise padhkar aap apni id bana sakte hai vo bhi bahut hi aasani se. Email Address banane ke liye aapko Gmail par apna account banana padta hai. To chaliye jante hain ki Gmail par signup kaise karte hai ?

Gmail Par Account Kaise Banaye Email ID banane Ke Liye ?
Yadi aapko apna email address banana hai to aage bataye gaye steps ko follow kijiye –

Step-1

Sabse pahle Gmail.com par jaiye.
CREATE AN ACCOUNT Par click kijiye.

Step-2

Ab aapke samne ek Form open ho jayega jisme aapko apne bare me bharna hoga.

Name wale field me apna naam aur Surname daliye Jaise Sd Chaudhary Choose your username me apna naam daliye yadi usme koi problem aaye to aap apne naam ke aage pichhe kuchh number dalkar dekhiye kyonki ho sakta hai is naam se pahle se kisi ki ID bani huyi ho. Jaise maan lijiye aapka naam Sd Chaudhary hai to aap Sd Chaudhary4583 is tarah se number add kar sakte hai. Matlab isme aapko apne naam me kuchh number bhi add karne hai.

Create a Password aur Confirm your password dono me koi aisa password dale jise aap hamesha yaad rakh sake .Kyoki jab aap Login karoge to isi password ko dalna padega.
Birthday me Month wale option par click karke apna vo month chune. Aur Day me date aur Year me apni birth year bhar dijiye.
Gender me yadi aap boy hai to Male aur Girl hai to Female select kijiye.
Mobile Phone me apna sahi mobile number daliye.
Your current email address ko khali chhod dijiye.
Location me apni Country ka naam select kijiye jaise India, Pakistan etc.
Ab Next step button par click kar dijiye.

Step-3

Ab aapke samne ek Privacy and terms ki window open hogi, isme aap niche ki taraf aaiye aur I Agree button par click kar dijiye.Gmail Par Account Kaise Banaye Email ID banane Ke Liye

Step-4

Ab aapki Gmail ID bankar ready ho chuki hai. Countinue to Gmail par click kijiye. Ab aapka Gmail account open ho jayega jisme aapko yadi email read karne hai to Inbox par click karke padh sakte hai, Yadi aapko kisi ko email send karna hai to Compose button se massage likhkar send kar sakte hai.Continue to gmail

Step-5

Ab aap Right side me corner me Gole par click kijiye.
Ab aapki Email ID dikhayi degi use select karke kahi save kar le ya fir yaad kar le.
Ab Sign Out button par click karke apne account ko band kar dijiye.Logout gmail account

To dosto ab aapne bhi apni email id bana li hogi yadi aapko Gmail ID banane me koi problem ho rahi ho to comment karke hamse puchh sakte hai. Aur yadi aapko ye post pasand aayi ho to ise niche diye gaye social media buttons par click karke share karna na bhule.
Previous
Next Post »
Thanks for your comment