Adsense kya hai aur adsense se approval kaise le ?

Jo Log online work karte Hai aur jinke pas koi website ya blog hai unhe Adsense ke bare me malum hota hai. agar malum nahi hai to ye post jarur padhe. jane adsense kya hai?

Adsense

Adsense kya hai

Adsense ek google ka ad service network hai jo website par advertiser ke ad lagata hai. advertiser apne product ka prachar karne ke liye adsense ko paisa deta hai tab adsense uske product ka prachar website par ad lagake karta hai. jiske website par adsense ad lagata hai use uske quality ke hisab se paisa deta hai. Quality means - website par kitne visitor aate hai, kitne pageview hote hai, kitne click hote hai. is quality ke aadhar par website walo ko adsense paisa deta hai.
Adsense ke rules aur terms - conditions policy bahot hi strict hoti hai. agar koi website use follow nahi karti hai to adsense us website par ad lagane se mana kar deta hai. isiliye adsense policy ko follow karna bahot jaruri hota hai. Jane kya hai Adsense policy.

YOUTUBE VIDEO KE LIYE ADSENSE ACCOUNT KESE BANAYE

ANDROID MOBILE SE BLOG TEMPLATE EDIT KAISE KARE

Adsense ke kuch Rules

Agar hame kisi website par adsense ke ad lagake paisa kamana hai to hame adsense ke niyam aur sharto ko follow karna padega. jab tak ham apni website adsense ke ad lagane ke kabil nahi bana lete tab tak ham adsense ke ad website par nahi laga sakte. adsense apni website ki puri tarah jach - padtal karta uske bad hi hame apne ads lagane ke liye approval deta hai. agar hame apne website ko adsense se approval dilana hai to hame kuch bate dhyan me rakhna bahot jaruri hai. jinke bina apni website ko adsense approval nahi de sakta.

1) Website word content

2) Complete post

3) Important page

4) Website traffic

5) Broken and dead link

1) Website word content 

Jab ham website banate hai to usme post bhi likhte hai, agar ham website me 20 se 25 post likhte hai to par post me 1000 to 1500 word hone jaruri hai. agar hamne apni website me 30 - 40 post likhe hai to per post me 700 to 1000 word hone chahiye. Adsense website ke word content bhi chek karta hai. isiliye ho sake to jyada se jyada likhe. koi bhi post, word content kai se copy na kare. sabhi content khud ke likhe hone chahiye isase adsense approval pane ke liye accha rahega.

2) Complete post

Man lo apni website banakar ho gai hai, aur post bhi likh ke ho gaye hai ab adsense ke liye apply karna hai lekin apply karne se pahle apne sabhi ko ek bar chek karle ki unme koi post adhure to nahi, post me paragraph thik se set hai ya nahi. ye jarur dekhe uske bad hi adsense ke liye apply kare.

3) Important page

Website me important page hone bahot jaruri hai, kyoki inke bina apne website par adsense ka approval milna namumkin hai. Important page means - Privacy policy page, contact us page, About us page inhe important page kahte hai. ye page website me jarur banaye. uske bad hi adsense ke liye apply kare.

4) Website traffic 

Adsense se approval pane ke liye apne website par traffic ka hona bahot jaruri hai, jiske bina adsense approval nahi de sakta. apne website me dally 300 + pageview hone bahot jaruri hai. jab tak apne website ki traffic badhti nahi tab tak adsense ke liye apply na kare.

5) Broken and dead link

Ab apni website puri tarah bankar tayar ho gai hogi. ab sirf hame adsense ke liye apply karne ki deri hai, lekin adsense ke liye apply karne se pahle Broken and dead link check karna bahot jaruri hai. agar apne website par broken - dead link hai to unhe hata de. uske bad hi adsense ke liye apply kare.

Friends upar di gai sabhi quality agar aapke website me hai to aap adsense ke liye apply kar sakte hai, aapko 7 din ke andar adsense ki taraf se approval mil jayega.

Friends Maine is post me adsense kya hai aur adsense se approval kaise le is ke bare me jankari likhi hai aapko meri jankari kaisi lagi hame comment karke jarur bataye aur is post share jarur kare.


7starhd

GenYoutube2

Samsung Earphone
Previous
Next Post »
Thanks for your comment