how to delete duplicate files in Android smartphone in hindi

Aajkal hm kafi sare songs, videos, movie copy paste krte rhte hai. kabhi kabhi hm koi aesi Bhi chize apne smartphone me dal dete hai Jo pahle se aapke phone me hoti hai. jaise Maine kuch songs apne pc se copy karke phon me dala bt wo songs already mere phon me hai or mujhe is bare pata nhi hai. to aese me kya ho RHA hai ki mere memory ka kafi jagah waste chizo se bhara hua rhega. agar hm in songs ya videos ko delet Bhi karna chahe to in songs ko ek ek krke delet krna mushkil hoga. agar ye duplicate files yaha waha dusre folders me ho to ye kam or Bhi mushkil ho jata hai. isliye mai aaj aap sb ke liye ek aesi trick le k aaya hu jis se aap bina kisi problem ke bs kuch steps ke jariye in duplicate files ko ek Hi bar me delet kar sakte hai.

Android

how to delete duplicate files in Android

ye bahut Hi simple si trick hai. aapko bs ek Android app download karna hai. fir usi se Sara kuch hoga. ye trick unlogo ke liye kafi achhi hai jinke smartphone me internal memory kam rahta hai. jiske wajah se unka phon slow ho jata hai. to chaliye jyada der na karte huye jante hai ki Android smartphone me duplicate files ko delet kaise kare.

step 1. Duplicate media remover app ko install kare.

Download

step 2. install ho Jane ke bad use open kare or fir simply “find duplicate” button pe click kare.


step 3. ab aapke phone me Jo Jo duplicate files hai unki scanning shuru ho jayegi. is process me 10 se 15 min lag sakte hai to thoda sabr rkhe.

step 4. abhi aapke phon me Jo Jo duplicate files hai jaise photos, videos, audios ki list dekh sakte hai. ab bs aapko kuch nhi karna hai. bs aapko upar dikh rhe dustbin ke icon par click karna hai. screenshot me dekhe.

to ye thi wo trick jis se aap duplicate files ko delet karke apne Phon ki memory ko badha sakte hai. agar aapko is post me kahi koi problem aati hai to aap mujhse comment me jarur puche. or agar ye post pasand aaya to ise share jarur kare. share karne se mujhe ye lagega ki aap mere post’s ko pasand karte hai to mai or Bhi Latest tips and tricks aapko bataya karunga. hamare new post ke updates pane ke liye hamara Facebook page like jarur kare.

Note :- agar aapka koi question ya request is topic se hat ke hai to aap mujhse Comment
 Mai puch sakte hai.
Previous
Next Post »
Thanks for your comment