ANDROID PHONE KO FAST KARNE KE 3 BEST Android APPS [HINDI]

Hi friends agar aapke pass Android phone hai aur aapka phone thoda slow kaam karta hai aur aapko thoda irritate karta hai toh yah post aapke liye bahut hi useful hai . Kyuki iss post me mai apko btaunga ki aap apne Android phone kaise boost kar skte hai . Aap apne phone ko sirf boost hi nahi balki apne phone ke system performance ko bhi increase kr skte hai .Mai aapko 3 best apps suggest karunga .Jinme se aap kisi ek ko use karke apne phone ko boost kar skte hai .

Greenify:-




Greenify app jaisa ki iska naam hai waisa hi iska kaam hai .Matlab yah aapke phone ko hara bhara kar deta hai . Jb koi app backgroung me run kar rahi hoti hai tab yah unn apps ho Hibernate kar deta hai yani Band kar deta hai jisse aapki battery ke sath sath RAM ki bhi bachat hoti hai . Iss app ko use kar ke aap apne phone me gajab ke changes la skte hai . Jaise performance , battery aur RAM inn sb chizo ko yah better kar dega . Greenify behad hi simple aur gajab ka application hai . Yah anya 2 app se better app hai .Toh phla recommendation Greenify hi hai .




SD Maid


SD maid ke developer aapko salah dete hai ki aap iss app ko apne risk par use kijiye . Jbki Greenify app bahut hi behtar app hai jo android ke dwara bhi recommend kiya jata hai .Lekin fir bhi SD maid bahut hi powerful tool hai .SD maid purane files jo kisi app ko uninstall karne ke baad bhi pade rhte hai unko puri tarah se delete karta hai .Jisse aapka kuch storage free hota hai aur iss tarah se aapke phone ka performance bhi badh jata hai . SD maid yah bhi ensure karta hai ki agar aapke phone ko faltu ka folder ya file hai toh usko detect karke delete karta hai .



Android Assistant:-


Jo 3 app hai wo hai Android Assistant . Iss app ko sirf ek single tap se use kiya ja skta hai .Yah aapke system ko monitor krne ka bahut hi badhiya tool hai .Android Assistant aapke files ,settings ,CPU,RAM,ROM ,SD cards ,Battery etc par najar rkhta hai .In sbko control krta hai .Iske sath sath yah cache file ko delete krke CPU ko fast karta hai . Yah phone ki battery ko bhi bachata hai .

Friends Agar Aapko Android Phone Ke Sleed Fast Karne
Ke Top 3 Android Apps Post Pasand Aayi Ho To Apne
Friends Keep Sath Social Media Par Post Share Karna 
Na Bhule.

........,.......................................................................Thanks
Previous
Next Post »
Thanks for your comment