Mobile root kaise kare



hello dosto mai aaj aapko batane wala hu ki apna Android smartphone root kaise kare bina pc ke. hm me se bahut sare log jinko root ke bare pata hai wo apna phone root karna chahte honge. root karne ke bad hm apne phone ko puri tarah se customize kar sakte hai.  or Bhi bahut sari chize hai Jo hm sirf rooted Android me Hi kar sakte hai.
aaj is post me mai aapko batane wala hu ki apne Android smartphone ko pc ke bina kaise root kare. Maine Bhi apna pahla smartphone bina pc ke Hi root kiya tha.

Mobile root

apna Android smartphone root karne se pahle kya kya taiyari kare.

aap sb to rooting ke bare jante Hi hai ki Android root karne ke time kafi dhyan dene ki jarurat hoti hai. to ab mai aapko batane wala hu ki root karne se pahle kya kya taiyari kare :-

1. kisi kisi smartphone me rooting ke process ko pura hone me kafi time lag sakta hai. isliye apne phone ki battery ko kam se kam 70% charge rkhe.

2. unknown sources ko on kar de. jis se aap playstore ke apps ke alawa bahar ke apps ko Bhi apne phon me install kr payenge. ( unknown sources ko on karne ke liye Settings> security> unknown sources ko enable kar de.

3. apne sare important data ka backup rakh le. jaise ki contacts numbers, SMS, Apps etc.  taki agar aapka phon brick ho jaye to aapke important data safe rhenge. Android smartphone ke data ka backup kaise rkhte hai wo janne ke liye yaha click kare.

Android smartphone ko bina pc ke root karne ke liye apps ki list

FramaRoot
Vroot
Z4Root
Kingroot
Tower Root
Kingoroot

Android root karne ke liye best apps

#1 Framaroot

Framaroot se Android root karna bahut Hi easy or simple hai. app ko install kar le fir use open kare  usme aapko 3 menu button’s milenge aap kisi Bhi teeno me se kisi Bhi button pe click kar sakte hai. aap simply menu 1 par click kare. click karne ke kuch seconds ke bad aapka phone root ho jayega. or agar aapka phone framaroot app ke jariye root nhi hoga to framaroot app aapko bata dega :)  agar aap framaroot app ke jariye apne phone ko root karne wale hai to aap framaroot app kin kin devices ko support karta hai wo check kar le.

DOWNLOAD FRAMAROOT

#2 Vroot ( iroot)

vroot Bhi ek bahut Hi achha app hai aapke phone ko root karne ke liye. vroot app  se aap oneclick se apne phone ko root kar sakte hai. ye app Chinese smartphone ko root karne ke liye bahut badhiya app hai  jaise karbon smartphone etc.

DOWNLOAD VROOT

#3 Z4Root

Z4root un smartphones  ko root karne ke liye achha hai Jo spectrum chipsets pe run karte hai. waise ye app sabhi smartphone ko root nhi karta hai lekin ye app china Mobile ko root kar sakta hai Jo spectrum chipsets par chalte hai . ye app aapke smartphone ko 2 methods me root kar sakta hai.

1. temporary root
2. permanently root

agar aap apna phone temporary root karte hai to jab aap apne phone ko switch off karke on karenge to aapka  smartphone unroot ho jayega. or agar aap  agar apne phone ko permanently root karte hai to aapka phon hamesha ke liye root ho jayega.

#4 Towel Root

towel root app special KitKat 4.4.2 smartphones ke liye banaya gya hai. is app ki madad se aap ek click karke apne phone ko root kar sakte hai. ye app Samsung ke smartphones ke liye Bhi badhiya hai

DOWNLOAD TOWEL ROOT

#5 KingoRoot

kingoroot rooting ke liye kafi famous app hai. aap sabhi ne is app ke bare jarur suna hoga. is app ki madad se aap bs 1 click karke apne phone ko root kar sakte hai bina kisi problem ke. is app ki madad se agar aap apna phone root karna chahte hai to aapka data connection on hona chahiye kyuki ye app aapke phone ke liye iske server se latest script download karta hai. jiske bad aap aasani se apna phone root kar sakte hai.

DOWNLOAD KINGOROOT

android smartphone bina pc ke root karne ke liye 2nd method.

aapko Maine abhi kai sare apps ke name bataye hai jis se aap apna Android root kar sakte hai bt agar aap abhi Bhi apna phone root nhi kar paye hai to nirash na ho. bs ab aap in steps ko follow kare fir shayad aao apna phone root kar paye.

step 1. sabse pahle phone ke settings me jaye fir about phone pe click kare. ab aap apne phone ka model no. ko dekh sakte hai. use yad kar le.

step 2. Google.com open kare or fir search kare. how to root (apne phone ka name model name ke sath likhe) without pc.

step 3. av aapko kai sare rooting guide mil jayenge to bs av aap kisi v guide ko open karke dekh sakte ho or fir usme jaise jaise bataha jayega waise Hi steps ko follow karke apne phone ko root kar sakte hai.

Bonus tip :-  agar aapko av v aapke phon ko root karne ka tarika nhi mila hai to aap comment me apne phon ka name model name ke sath bataye. mai aapke liye Google se aapke phon ko root karne ke liye guide dhund dunga. Or fir kisi ek lucky comment karne wale ko hinditechlearn.com ki taraf se 100 rs ka mobile recharge diya jayega :)

Aapka phone root hai ya nhi ye kaise Jane??

agar aapne apna phone root kar liya hai to aap ye jarur Janna chahenge ki aapka phone root hua hai ya nhi.
aapka phone root hai ya nhi ye janne ke liye aapko playstore se root checker app download karna hoga. app download karne ke bad aap root checker app ko open kare. fir agar super su permission manga jata hai to OK kar de.  agar super su permission nhi Bhi pucha jata hai to koi bat nhi. ab aage ek window open hoga jisme likha hoga ki aapka phone rooted hai ya nhi. jaise ki screen shot me dikhaya gya hai.

to dosto kaisi lagi ye jankari. Agli post me rooted smartphones ko unroot kaise karte hai wo bataya jayega. Aage mai aapko rooted smartphones ke liye best apps or tips and tricks ke bare bataunga Jo sirf rooted smartphones ke liye possible hai. hamare fb page ko like karna na bhule. agar aapko ye post pasand aaya hai to ise share jarur kare.

Note :- Android smartphone root karne se aapka phone brick ho sakta hai jiske jimmedar aap honge. Isliye root karne se pahle sari taiyari kar le. Or savdhani se har step ko kare.
Previous
Next Post »
New comments are not allowed.
Thanks for your comment